Saathi ki kabhi zaroorat nahi thi
Par saath tumhara maanga zaroor
Akelapan toh ek banjar zameen hai
Khushi ke phool hamesha kahan ugte hain.
Jhilmil si raat khatm ho jati hai
yeh bhi jaan lo, ki log rehte nahi
roshan-si yeh mehfil bhi uktaa jayegi
parwane hamesha kahan saath dete hain.
Guzar-basar ke bhanwar mein
Log aksar pyaar bhool jate hain.
Haath pakde chalte hain do kadam
Phir saathi pichle mod pe chhod aate hain
Yeh badha hua haath mera thaam bhi lo.
Akele kitni zindagi basar karoge?
Rahein milti hain bas ek baar
Humsafar bhi roz-roz kahan aate hain
Monday, August 24, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment