Saathi ki kabhi zaroorat nahi thi
Par saath tumhara maanga zaroor
Akelapan toh ek banjar zameen hai
Khushi ke phool hamesha kahan ugte hain.
Jhilmil si raat khatm ho jati hai
yeh bhi jaan lo, ki log rehte nahi
roshan-si yeh mehfil bhi uktaa jayegi
parwane hamesha kahan saath dete hain.
Guzar-basar ke bhanwar mein
Log aksar pyaar bhool jate hain.
Haath pakde chalte hain do kadam
Phir saathi pichle mod pe chhod aate hain
Yeh badha hua haath mera thaam bhi lo.
Akele kitni zindagi basar karoge?
Rahein milti hain bas ek baar
Humsafar bhi roz-roz kahan aate hain
Monday, August 24, 2009
Rakho....
Yaadon ke guchhe mein ek yaad piro ke rakho.
Purani kitabon mein ek phool chhupa ke rakho.
Har panne ke kone mein siyahi bhari koi kahani ho.
Mere naam ke labzon se woh kahani bana ke rakho.
Kabhi meri payal ya chudi giri hogi tumhare paas
Uss gire hue mere khwaab ko kahin sajaa ke rakho.
Jab tumhare kandhe par sar rakh ke roi thi main,
Unn bheege hue se palon ko apne dil mein dabaa ke rakho.
Raston par hum chale the behke-behke kadam leke
Unn raston par kabhi-kabhi thode phool bichaa ker rakho.
Kabhi kaha nahi kuch bhi par suna tha, band hoton se
unn khamosh se lamhon ko hoton se lagaa ke rakho.
Sardi ki woh subah yaad hai, jab khushi ko dhoop se seencha tha
Uss naram dhoop ki roshni se apna ghar nehla ke rakho.
Jab chali jaaun main, toh aana iss naye ghar mein,
Tab tak inn yaadon ko zaraa sambhaal ke rakho.

Aaj
Zaraa si der ho bhi jane do na
Aaj hamaare paas baitho zaraa sa
Jaanaa toh hai, do pal thahar jao na
Hamare pehlu mein ruko zaraa sa
Alvida toh kehna hi hai, aaj nahi toh kal
Bas aaj nahi, kal ko talo
Chhodna hai daaman tumhara chalte-chalte
Aaj do kadam bas aur chal lo
Aansu hain, zindagi bhar behne ke liye
Aankhon mein nami rahegi, tum chaho ya na chaho,
Bas ek aur din hansi maangi hai,
Aaj sookhi-sookhi khushi banke aankhon mein reh jao

Subscribe to:
Posts (Atom)