My photo
London, United Kingdom
The old faded picture in the profie- that isn't me... It is Anastasia- Anastasia Nikolaevna Romanova... quite a mouthful, isn't it? Her story - the fabled Grand Duchess of the erstwhile Russia-apparently the only survivor who escaped the violent mass murder of her family in 1918 in the Bolshevic Revolution... Her daring occasionally exceeded the limits of acceptable behavior. And why her? Its her name- Anastasia: "the breaker of chains" or "the prison opener". And another meaning of her name is "RESURRECTION" Means there would never be an END

Friday, November 6, 2009

Ummeed

Kudrat ne milaya bewafaa se jo,
dil ki fidrat rahi ke usse pyar kiye jaaye.
Ishq ka raasta ab jaane kis mod pe liye jaaye.

Aankhon pe lagaaye, mohabbat ka rumaani parda,
andheri raaton se roshni ki ummeed kiye jaaye.
Manzil par khade, raaston se shikwa kiye jaaye.

Jaam uthaya zindagi ka, honthon se lagaane ke liye,
phir bhi, besabab yeh zeher ke ghoonth piye jaaye.
Ek pal ki zindagi se, sau maut liye jaaye.

Surkh-si aankhon mein ab bas aansoo hi baaki hain,
phir bhi, yeh khushnuma khwabon ki fariyaad kiye jaaye.
Munasib daaeron se ab ishq hume duur liye jaaye.

Ibaadat

Tukda-tukda chaand gira hai, ek tukda sajaa lo aasma mein
baaki bikher dungi zameen pe, chaloge toh aasma-sa lagega.

Hadd hi ki hadd par kar, aaj suraj jhukao kadmon mein.
roshan-roshan pairon se chaloge toh mere ghar-sa lagega.

Likhi-padhi baatein bhool, aaj kho jaao apni duniya mein,
yeh taaron bhari raat phir ek sapnaa-sa lagega.

Nayi nayi si hawa chali hai, aaj barson ke baad,
mehki hawa ka jhonka, phoolon ka guldasta lagega.

Rooh se jude ho iss kadar, tumhe maloom nahi hai.
Kabhi ehsaas hua, toh tumhe yeh ibaadat-sa lagega.